Thursday, February 17, 2011

Sexual Problems. part2

Amooman 15 aur 20 saal kee umar main jinsi gadoodon kee kardkardgi kee waja say boys main /mani ziyda niklnay lagti ha .jis kee waja say boys main jinsi asoodgi kee khwahish barh jati ha .aur wo mukhlif tariqon kee madad say apni jinsi asoodgi ko poora kartay hain .Kion kay ham mani ko mehfooz nahe kar saktay .
Lehaza is ka ikhraj zaroori ha . aur sehat kay liye acha ha .ye ikhraj jaiz bee ho skta ha aur najaiz bee .
ye shaoori bee ho skat ha aur gee shaowri bee
Mani kay ikhraj kay 4 zariye hain .
1. Shadi
2. Ehtlaam.
3.Khud lazti
4Zana

 |Har balig mard in main say aik zariya zaroor istmaal karta ha .muje kisi asay fard kee talash ha jo jawan ha
aur in 4 zaraye main say koi be nahe istmaal karta .agar app hain to muje say fori rabta karian main app ka naam gennius book of world main likhwa doo ga .
Mani kay ikhraj ka sab say behtreen zariya shadi ha .is liye ALLH KAY MEHBOOB .S.A.W NAY FARMAYA kay larkon kee balig hotay hee shadi kar do .shadi kee waja say mard na sirf ghunaho say nach jata ha. balkay mani kay ikhraj kee waja sat wo jismani aur zehni tor par khush rehta ha .Biwi say manasrat sirf farj main karnay kee ijzat ha . maqad main mabsrat qatan haram ha
Hazrat Abu Haraira R.A  say riwayat ha kay  HAZRAT MUHAMMAD S.A.W NAY FARMAYA kay apni biwi kay pass maqad main anay wala malaoon ha .
Magrib main takrrban 30 feesad mard kabi na  kabi aurat kay maqad main mabarat zaroro kartay hain.
yaad rahay kay dakhool kay baad dono par gusal farz ho jata ha chahy inzaal ho ya na ho.
Shadi bee kisi aurat kay sath ho . magrib main to shadi larkon kay sath bee hoti ha jo kay aik qabeera ghuanh ha .badqismati say hamary haan kuch asy log bee hain jo aurat kee bajaye larkon sat hamjinsi ko ziyda tarjee detay hain. ye aik nafsiyati bimaari ha . jo kay door ho sakti ha

See my next Post

Larkon Kay Jinsi maslay aur un ka hal


                                           Sexual problems


Blogat kay wakt bachon main bohat see tabdeeliya runma hoti hain.maslan zere-e-naaf balon kaa aa jana ,
larkon ko shahwat ka ziyda ana aur phir shahwat kee waja say pennis say lais daar mada niklna ,jins mukhaif kee taraf kashish karna ,larkon ko ehtlaam hona aur larkion ko mahwari mensses ana.aksar boys ko ye shak hota ha kay ye tabdeeliyan normal hain ya ab narmal.Badqismati say hamry nojawano ko is baray main sahe pata nahe chal pata .to phir wo neem hakeemo aur dewwari adds kee maloomat kee waja say aksar boys fitri ,jismani,tabdeelion ko khatarnaak jinsi bimarian samj letay hain aur pareshan ho jatay hain ,.is pareshani aur zehni dabao kee waja say wo mukhtlif nafsiyatu bimarion ka shikar ho jatay hain . maslan ye boys dippration ka shikar ho jatay hain .is marz main mareez shaded udasi aur afsurdgee ka shikar ho jatay hain.
us ka kisi cheez main dil nahe lagta ,kuch kaam karnay ko dil nahe karta ,us kee neend ud jati ha.,bhook kahatm ho jati ha ,wazan kam ho jata ha .jism kay mukhlif hison main dard shuru ho jata ha . aur phir usay waki asa lagta ha kay wo kisi khatrnaak bimaari ka shikar ho gaya ha phir ye boys kisi neem hakeem ka shikar ho jatay hain. jo unain bataya hain kay unhain koi kahatnaak bimaari lag gayi ha
Jis kay elaaj kay liye kaafi raqam aur wakt kee zaroorrat hoti ha .ghareeb say ghareeb boys bee is bimaari kay liye moti say moti raqam tiyar kar leta ha .chhay usay chori he kion na karni paray .baaz boys to elaaj karanay kay liye apni maa ka zewar tak bach detay hain.. ye neem hakeem uuhain kushtay wegera day detay hain jinhe kha kar boys waki kis mohlak bimaari ka shikar ho jatay hain .bohat say shadi shuda joray isi waja say elehda ho jataya hain..................

See My Next Post

Famous Keyword


   Famous Keyword Questions For Increase Traffic   on Your /site or Blog





  1. how to hack a facebook account?
  2. what does it mean to poke someone on facebook?
  3. see who views my facebook profile?
  4. how to get on facebook at school?
  5. anyone can now see my facebook groups no privacy
  6. how do you put a layout on face
  7. how can i see who looks at my facebook profile?
  8. what is facebook?
  9. how do you view someone on facebook who has blocked?
  10. how do i delete my facebook account?
  11. has someone searched for me on facebook?
  12. facebook name search?
  13. how to hack facebook accounts?
  14. what happens when you re block on someones facebook?
  15. facebook security risk may 2010?
  16. how to use facebook?
  17. can i change the background of my facebook fan page?
  18. how to hack facebook?
  19. how does facebook work
  20. facebook help

Famous Ghazal Of Ahmed Faraz

Kion tabiyat kahe thahrti nahe
Dosti to udas karti nahe
Ham hamsha kay ser-e- chasham sahe
Tuj ko dekhain to ankh bharti nahe
Shab-e-Hijrab be ha roz-r-bad kee tarha
Kat to jati ha par guzrti nahe
Shair bee ayton say kiya kam hain
Ham pay mana wahe utrati nahe
Us kee rehmat ka kiya hisaab karain
Bas ham he say hisaab karti he nahe
Ye mohabat ha Sun zamany Sun
Itni asanion say marti nahe
Jis tarha guzratay ho FARAZ
Zindgi is tarha guzrti nahe
                                               

Key Word: fun things to do with google translate?
                                .......................................................




Sochta hoo usay neend be ati ho gee
Ya meri tarha faqt ashak bahati ho gee
Wo meri shakal mera naam bhulanay wali
Apni tasveer say kiya ankh milati ho gee
Sham hotay he wo chokhat par jila ka shama
Apni palkon par kai khawab sulati ho gee
Us nay silwa bee liye hon gay siyah libaas
Ab muharam kee tarha Eid manati ho gee
Hoti ho gee merey bosay kee talab main pagal
Jab bee zulfon main koi phool sajati ho gee
Merey tareek zamano say niklnay wali
Roshni tuj ko meri yaad dilati ho gee
By Aamir Saleem

why is google not working?



Aik Beautiful Haqeeqat

     Sitaray talash karnay hain to raat kee roshni main talash
     karo kion kay Sitaray hamesha raat kee tareekhi main
     namoodaar hotay hain.Din kee roshni main sitaray nahi miltay
    
     By. Aamir Saleem
    03338367089




                                 /././././././././././././././././././././././././././././././././/.//./././././.





     Ye jaan kar bee kay dono kay rastay thay alag
      Ajeeb haal tha jab us say ho rahay thay alag
      Ye harfo-o- hain dunia say guftugu kay liye
       Kisi say ham sakhni kay maklamay thay alag
      Khiyal un ka be khabin aya tumhe jana
      Jo tum say door bohat doo jee rahay thay alag
      Hami nahi hain hamari tarha kay aur bee log
     Azab main thay jo auron say sochtay thay alag
     Akelay pan kee aziat ka ab ghan kesa
     Faraz khud he to ho gaye thay apno say alag
   
    By |Aamir Saleem
     03338367089


what japanese poetry follows a pattern of 5 7 5 syllables?
  

Wednesday, February 16, 2011

Eid Melad-ul- Nabi S.A.W

Sar ta baa qadam tane-e- Sultan Zamne-e-Phool
Lab phool dahan phool badal phool zaqan phool
Kiya baat RAZA us chamnistaan -e- karam kee
Zohra R.A kali ha jis kee Hussain R.A Aur Hasan R.A Phool



                                                   Namaz

Hazrat Jabar R.A say riwayat ha kay Hazrat Muhammad S.A.W nay irshad farmaya kay muslmaan aur kafir kay darmayan NAMAZ chor denay ka he faasla ha .


ALLAh aur Hazrat Muhammad S.A.W par emaan lanay aur touheed kee gawahee dennay kay baad sab sat pehla aur bara farz NAMAZ  he ha .Namaz Allah Pak kee khas ebadat ha . ye islaam kee banayd aur satoon ha .te aik taluk kaa naam ha jo ALLAH aur banday kay darmayan ha .NAMAZ kee ye khas taseer ha kay agar ALLAH AZAWAJAL  kee taraf poori tarha dhehan kar kay parhi jaye to us say aadmi ka dil pak aur saaf ho jata ha .buraaiyan is say choot jati ha in,neki aur sachai kee mohabbat aur khuda ka khof us kay dil main aa jata ha algarz kalma kay baad namaz he islam kee banyad ha .aur haqeeqat-e-emaan say is ka gehra taluk ha kay is ko chor denay kay baad insaan kufar kee had tak pohnch jata ha .bhaio ham main say har aik ko sochna chahiye kay agar ham nay achi tarha aur pabandi kay sath NAMAZ parhnay kee adat na daali to kiya anjaam ho ga
(Mulim)




Aurat Kay 7 Roop




                                Aurat Kay 7 Roop

  1. Husan Aurat KA jadu ha .
  2. Seerat Aurat Kee Khoobsoorti ha
  3. Haya Aurat Ka Zewar Ha
  4. Moahhabt Aurat Ka Zameer Ha
  5. Reham Aurat Kee Fitrat Ha
  6. Inksaar Aurat Kee Nishani Ha
  7. Farz Kee Takmeel Us Kee Manzil Ha
                                              ........................................................

                   Hazrat Muhammad (S.A.W) Kee Meraas


Jis tarha Abu Haraira R.A ko elam say walehana mohabbat thi isi taha wo apnay sathion main be elam kee jot jagana chahtay thay .Aik dafa wo madina taiba kay bazaar say guzar rahay thay logon ko duyawi kamon main dekh kar gham zada ho gaye .App nay logon ko apni taraf matwaja kar kay buland waza main kaha
Ae Bashindganay Madina tum mehroom aur baykas reh gaye .logon nay yak zubaan ho kar kaha kay Ae Abu Haraira R.A app nay ham main konci mehroomi dekhi .
App nay kaha kay Hazrat Muhammad S.A.W kee meraad taqseem kee jaa rahee ha aur tum yahan bethay huwe ho wahan jaa kar tum apna hisa kion nahe letay .
logon nay pocha meraas kahan taqseem ho rahe ha App nay kaha kay masjidm main.
Log jaldi say masjid kee taraf chal paray Aur Hazrat Abu Haraira R. A kay anay tak wahi kharay rahay
Jab logon nay dekha to kaha kay Ae Abu  Haraira R.A ham nay to wahan koi meraas taqseem hotay nahe dekhi . app nay kaha kay tum logon nay masjid main kisi ko nahe dekha
Logon nay kaha kio nahe dekha , ham nay dekha kay log namaz parh rahay thay aur kuch log Quran Pak kee talwat kar rahay thay Aur kuch log halal aur haram kay baray main baat kar rahay thay .
Abu  Haraira R.A nay kaha kay baray afsoos kee baat ha . yahe to Hazrat Muhammad S.A.W kee meraas ha



Nahe Reh Sakti

                       Main Us Kay Begair Nahe Reh Sakee



Us kay baray main soch kar Mera dil dharak uthta tha kay na janay wo kiya ho ga .jesay jesay us kay anay kay din qareeb atay jaa rahay hain, wesay wesay meri pareshani bharti jaa rahee ha .Baazahir main sab kay samnay muskurati rehti thi lakin mera dil wasooson say bhara rehta tha . sab ko meri pareshani ka elam ho gaya tha.Aur sab ghar walay meri taraf tanzia nazron say dekhnay lagay thay lakin us kay anay main bas kuch din he reh gaye thay.
Meri neendain aur bhook sab kuch mit gaya tha .Bas ALLAH PAK say yahi dua karti rehti thi kay meray haq main behtar ho bilkul meray sapnon jesa.Akhir kaar wo din bee gaya ,main subah say pareshan thihar aaht par mera dil dharak uthta tha kay shaid wo aa gaya ha . akhir kaar wo aa he haya
Ae merey piyaray ""RESULT"" shukar ha tum nay muje mayoos nahe kiya

Muje WO Kitni Pasand ha


                                    Tu Muje Kitni Pasand Ha



Muje wo kitni pasand ha , jab main nay usay pehli baar dekha tomuje wo bohat achi lagee. Muje mehsoos huwa jesay wo merey liye he bani ho. Ab to wo meri zindgi ka lazmi hisa ha . main us kay begain adhoora hoon.muej us kay begair kuch nazar nahi ata Jab wo muj say jusa hoti ha to merey liye chand lamhaat guzarna mushkil ho jatay hain Us kay siwa meri zindgi main koi rang nahe ha Jab wo merey pass hoti ha  to main khushi say jhoom uthta hoon main usay har wakt apnay pass rakhna chahta hoon lakin raat hoti ha to muje us alehda hona parta ha Ammi kehti hain Beta isay raat kay wakt nahe lagay kartay Warna ye toot jaye gee Ae meri ""Ainak": tu muje kitni pasaand ha

By Aamir Saleem
03338367089

Wo Pehaly Be Ata Tha

                                              Wo Pehlay Be Ata Tha



Wo pehlay be ata tha lakin jab wo is baar ghar main aya to toufaan aa gaya .Is kee aik waha ye thi kay ajj abu ghar par thay .Aur wo gusay say pagal ho rahay thay . akhir kaar Ammi bol pari , app sara ghusa ham par utaar rahain hain jaa kar un say baat karin jo in ko bejtay hain .Abu nay kaha kay main ye nahi kehta kay wo ghar na aye Lakin anay ka be koi tariqa kaar hota ha ach aasa karo apnay betay ko bej do un say baat kar lay ga .Ammi nay kaha kay wo bacha ha na janay wo kasay baat karay ga ye kaam to app ko khud karna paray ga Abu bolay theak ha main kal he jaaon ga .aglay din abu aa gaye phir saray din kee mehnat kay baad akhir kaar hamara ""Meetar"" theak ho gaya  aur hamar bill be theak ata ha

By Aamir Saleem
03338367089

Apna Dil Haar Bethi


                                               Aur Apna Dil Haar Bethi


Jab main nay tumhe pehli baar apnay bhai kay pass dekha to main apna dil haar bethi..Aur jab tumhara taruf bhai nay karwaya to main kuch aur garweda ho gayi.Tumhara style Tumhari awaz aur tumhara andaz dekh kar to main dewani see ho gayi thi.Jab merey bhai nay merey jazbaat main tumhaary liye pasndeedgi mehsoos kee to meri khushi ko mazeed barhanay kay liye kaha  Ab ye tumahary pass rahay ga, Ye sun kar to merey hosh he udh gaye. Kiya duain itni jaldi qabool ho jati hain. Zindgi kee sab say bari khushi muje tumahary dam say mili. Merey sahb-o-roz rumhay sath basar hotay Aur tumhari mojoodgi tafuz ka ehsaas dilati .Kuch he arsay kay baad hamari khushion kee bahar ko khazan kee nazar lag gayi aur tumahar accident ho gaya .Chot tumhe kam ayi thi lakin mer dil sadmay say behaal ho gaya tha "" Ao mere piyaray Mobile"" Tum jaldi say theak ho kar pehlay kee tarha tarnum say toon tonn karnay lag jao

Kisay Maloom Tha Is shah Kee Tuj Main Kami Ho gee

Kisay maloom tha is shah kee tuj main kami ho gee
Guman tha teray tarz-e-jabar main shaystgee ho gee
Muje tasleem ha tum nay muj say mohabbat kee ho gee
Magar halat nay izhaar kee mohlat na dee ho gee
Main apnay app ko sulga raha hoo is towaqa par
Kabi to aag bharkay gee kabi to roshni ho gee
Wo wakt aya ga chahy ajj aye chahy kal aye
Jab insaan dushmni apnay khuda say ho gee
Suna ha aalme lahoot main phir zinda hona ha
Magar dharti say kat kar phir zindgi kiya ho gee



./././././././././././././././././././././././././././././././././././././././




Sanns lena be ab to saza lagta ha
Ab to marna be ek radaa lagta ha
Sare-e-bazar ha yaron kee talash
Jo guzrta ha wo khafa lagta ha
Mosme-e gul main sar-e- shakhe-e ghulab
Shoala bhrakay to to baja lagta ha
Muskrata ha jo is aalim main
Ba khuda muj ko wo acha lagta ha
Itna manoos hoo main sunatay say
Koi bolay to bura lagta ha
Nataq ka sath nahe deta zehan
Shukar karta hoo to acha lagta ha


//./././././././././././././././././././././././././././././././



Jab tera hukam mila taek-e- mohabbat kar dee
Dil magar is pay wo dharka kay qayamt kar dee
Tuj say main kis tarah izhar-e-tamana karta
Lafz socha to mani nay bhaqawat kar dee
Main to samja tha kay lot atay hain janay walay
Teri ulfat nay mohabbat meri adat kar dee
Kiya tera jisam teray husan kee hidat main jala
Rakh kis nay teri sonay kee see rangat kar dee

Sad Poetry In Urdu

                           Abi ye  na pocho kay manzil kahan ha
                          Abi to safar ka eraada kiya ha
                          Na haroo gee main hosla zindgi bhar
                          Kisi say nahe khud say wada kiya ha

                        
                              ...........................................

                          Marnay ka teray gham main eradda be nahe
                          Ha ishq magar itna ziyda be nahe
                          Kion dekhtay rehtay hain sitaron kee taraf ham
                          Jab un say mulaqaat ka wada he nahe


                          ..................................................


                         Wada wo kar gaye Aamir muj say sham ka
                          Kasay katain gay char pehar intzaar kay


                        .......................................................


                         Zamany ka agar dar tha to ek faslaa rakhaty
                         Hamin dasti na tanhai agar tum silsla  rakhtay
                         Aagar anay ka wada tum nay ham say kar liya hota
                         Bichtay raat bhar palkon ko dil ka darwaza khula rakhtay
                            ...........................................................

 

                                              

                        



Tuesday, February 15, 2011

Dua

Sun lee khuda nay wo dua tum nahe ho
Darwazay par dastak kee sada tum to nahe ho
Simti hoi sharmai hoi raat kee rani
Soi hoi kalion kee haya tum nahe ho
Mehsoos kiya to geeli hoi palkain
Bheegay huwe mosam kee ada tum to nahe ho
In ajnabi rahon main koi nahe mera
Kis nay muje youn apna kaha tum to nahe ho


                                                        .........................................




Apnay ehsaas say choo kar muje sandal kar do
Main kay sadion say udhoora hoo mukmal kar do
Na tumhain hosh rahay na muje hosh rahay
Is qadar toot kay chaho muje pagal kar do
Tum hatheli ko meri piyar kee mehndi say rango
Apni ankhon main meray naam ka kajal kar do
Us kay saye main meray khawab dhak uthain gay
Meray chehray par apna chamkta huwa anchal kar do
Dhoop he dhoop hoo main toot kay barso muj par
Is qadar barso meri rooh main jal thal kar do
Jasy sehraon main sham ko hawa chalti ha
Is tarha muj main chalo muje thal kar do
tum chupa lo mera dil oot main apnay dil kee
Aur muje meri nigahon say bee oojal kar do
Masla hoo to nigahain na churao muj say
Apni chaht say tawaja say hal kar do muje
Apnay gham say kaho har wakt meray sath rahay
Ek ehsaan karo is ko maslsal kar do
Muj par chaa jao kisi aag kee soorat main janaa
Aur meri zaat ko sookha huwa jangal kar do
 By Wasi Shah

Aadhi Raat Kay Sahid Sapnay Jhootay Thay

Adhi raat kay shaid sapnay jhootay thay
Ya phir pehli baar sitaray toottay thay
Jis din ghar say baagh kar shahr pohnchi thi
Bhag bari kay bhag us din phootay thay
Mazhab kee banyad par ye kiya taqseem hoi
Hamsyaon nay hamsaye he lootay thay
Shokh nazar kee chatki nay nuksaan kiya
Hathon say chai kay bartan tootay thay
Oodh kay phirti thi jo nainaa sari raat
Us resham kee shaal ya resham kay bootay thay

                                          .............................................




Kis dastak nay chupkay say sagoshi kee
Chand say chandni nazdeek hoi jati ha
Meri ankhon main utar aye hain kalay badal
Cahnd so jao kay mosam bara jazbati ha



                                          ..............................................




Rasme ulfat he ijazat nahe deti warna
Ham tuje asa bhoolain kay sada yaad rahain.

Barishon Kay Mosam Main

Barishon kay mosam main
Wakt kee tamazat main
Wakt kay andhero main
Wehshton kay mosam main
Main nay us say pocha tha
Main nay us say pocha tha
Chor to jao gay
Chor kar hee jana tha
Hath tham kar us nay muskrati galion main
Kaan main ye bola tha
Aas kion dilayi thi
Kasay chor sakta hoon
Piyas kion jagai thi
tum to jaan ho meri
Meray in sawalon par
Moasam kay khel hain Sab
Aur ajj asa ha
Cahltay Chalaty wo bola
Mosam badltay he rehtay hain

Kahe Milay To Usay Ye Kehna

Kahe milay to usay ye kehna
Faseel-e-nafrat giraa rahee hoo
Gaye dino ko bhula rahee hoo
Wo apnay waday say phir gaya ha
Main apnay waday nibha rahee hoo
Kahe milay to usay ye kehna
Na dil main koi malal rakhay
Hamesha apna khiyal rakhay
Wo apnay saray gham muj ko day day
Tamam khushian sanbahl kar rakhay

Jana Tum Nay Apnay Khat Main

Jana tum nay apnay khat main
Thahray thahray lafzon main
Kuch likha kuch chor diya
Youn Lagta ha Lafzon ko
Tum nay mani kay dar par
Laa kar wapis mor diya
Aur phir alfaaz kahan kuch keh patay hain
Ye ooraaq kee sakhat zameen par
Ek sarhad par ruk jatay hain
Main Alfaz nahe parti
Main to bas wo parti hoo
Jo satron kay beach likha ha

By <br />Aamir Saleem