Tuesday, February 15, 2011

Aadhi Raat Kay Sahid Sapnay Jhootay Thay

Adhi raat kay shaid sapnay jhootay thay
Ya phir pehli baar sitaray toottay thay
Jis din ghar say baagh kar shahr pohnchi thi
Bhag bari kay bhag us din phootay thay
Mazhab kee banyad par ye kiya taqseem hoi
Hamsyaon nay hamsaye he lootay thay
Shokh nazar kee chatki nay nuksaan kiya
Hathon say chai kay bartan tootay thay
Oodh kay phirti thi jo nainaa sari raat
Us resham kee shaal ya resham kay bootay thay

                                          .............................................




Kis dastak nay chupkay say sagoshi kee
Chand say chandni nazdeek hoi jati ha
Meri ankhon main utar aye hain kalay badal
Cahnd so jao kay mosam bara jazbati ha



                                          ..............................................




Rasme ulfat he ijazat nahe deti warna
Ham tuje asa bhoolain kay sada yaad rahain.

No comments:

Post a Comment