Wednesday, February 16, 2011

Eid Melad-ul- Nabi S.A.W

Sar ta baa qadam tane-e- Sultan Zamne-e-Phool
Lab phool dahan phool badal phool zaqan phool
Kiya baat RAZA us chamnistaan -e- karam kee
Zohra R.A kali ha jis kee Hussain R.A Aur Hasan R.A Phool



                                                   Namaz

Hazrat Jabar R.A say riwayat ha kay Hazrat Muhammad S.A.W nay irshad farmaya kay muslmaan aur kafir kay darmayan NAMAZ chor denay ka he faasla ha .


ALLAh aur Hazrat Muhammad S.A.W par emaan lanay aur touheed kee gawahee dennay kay baad sab sat pehla aur bara farz NAMAZ  he ha .Namaz Allah Pak kee khas ebadat ha . ye islaam kee banayd aur satoon ha .te aik taluk kaa naam ha jo ALLAH aur banday kay darmayan ha .NAMAZ kee ye khas taseer ha kay agar ALLAH AZAWAJAL  kee taraf poori tarha dhehan kar kay parhi jaye to us say aadmi ka dil pak aur saaf ho jata ha .buraaiyan is say choot jati ha in,neki aur sachai kee mohabbat aur khuda ka khof us kay dil main aa jata ha algarz kalma kay baad namaz he islam kee banyad ha .aur haqeeqat-e-emaan say is ka gehra taluk ha kay is ko chor denay kay baad insaan kufar kee had tak pohnch jata ha .bhaio ham main say har aik ko sochna chahiye kay agar ham nay achi tarha aur pabandi kay sath NAMAZ parhnay kee adat na daali to kiya anjaam ho ga
(Mulim)




No comments:

Post a Comment